Saturday, 13 December 2014

Wo lamhe jo meri zindagi ke anmol pal ban gaye,
Wo lamhe jo mere gujre huye kal ban gaye,
Kaash in lamho ko mai phir se ji pata,
Wo lamhe jo meri nam aankho ke jal ban gaye.
Aankho me sapne aur dil me armaan liye,
ek safar me chal pade bina kisi ka saath liye,
Raaste me kuch naye chehro se mulakaat ho gayi,
Phir to wo aise dost bane jaise ek rishta ho umar bhar ke
liye.
Wo lamhe jo mujhe chahne wale mere dost de gaye,
Wo lamhe jo na bhula pane waale kuch log de gaye.
Is safar ki shuruaat hamne saath ki thi,
Jaan se pyare yaaro ke saath kitni saari baat ki thi,
Zindagi ke un palo ko bhi hamne saath jiya tha,
Jin palo ne khushi aur gam dono se mulakaat ki thi.
Wo lamhe jo ab laut ke nahi aa sakte,
Wo lamhe jaha hum chaah ke bhi nahi ja sakte.
Apne yaaro ke dil ki baat hum bina kahe jaan lete the,
Kaun pasand hai kisko ye thode se jhagde ke baad hum
maan lete the,
Canteen aur cafe ki partiya to roz hua karti thi,
Kubsurat ladkiyo ko call kar, na jaane kitne naam liya
karte the.
Wo lamhe jo ek dhundhali yaad ban gaye,
Wo lamhe jo ek yaadgar kitab ban gaye.
Ajeeb the ye lamhe jisme hum hase bhi aur roye bhi,
Ajeeb the ye lamhe jisme kuch paye bhi aur kuch khoye bhi.

No comments:

Post a Comment